Nokia 3, 5 or 6 india
mein launch ho chuke hai, aaiye jante h inki price and specification ke baare
mein.
Dosto hum sabhi ko bahut time se intzaar tha ki kab nokia ke
phone launch honge, lekin akhir kaar aaj 13 JUN 2017 ko nokia 3,5 or 6 launch
ho gaye. Me bata du ki Barcelona mein MWC mein pehli baar in phone ko nokia
3310 ke sath launch kiya tha, or launching ke time company ne bataya tha ki
india mein sell hone waale nokia ke phone made in india honge.
Nokia 3
Ager nokia 3 ki baat kare to yeh ek mid rang phone hai, iski
Price 9499 INR rakhi gayi hai, yeh phone Mediatek ke Quadcor Processer ke
sath aata hai jo ki bilkul bhi achha processer nhi hai, Ager iske
camera ki baat kare to isme Back side 8 MP and Front side 8 MP ka camera h jo
ki thik – thak quality ki picture le lete hai, isme 5 inc ki display hai jo
720p ki yaani ki yah full HD nhi h Sirf HD display hai , Isme 2 GB ki RAM di
gayi hai jo ki is price rang mein kam hai, 16 GB ki internal storage hai jo ki kam hai lekin aap isme memory card upto
128GB tak daal sakte ho, Battery ki baat ki jay to isme 2650 mAh ki battery di
gayi jo ki ho sakta h 1 din bhi na chale, phone mein Android 7.0 OS hai jo ki
achhi baat hai yeh ek latest android hi, Is phone sabse khash baat yeh h ki yeh
NFC support karta hai jo ki is price rang mein dusre phone mein nhi milti iska
yeh ek good point hai, lekin isme aapko finger frint scanner nhi milta jo ki
kuchh logo ke liye buri baat ho sakti hai, chaliye yeh to Nokia 3 ke bare mein baat ho gayi ki isme kya – kya
h kya price hai, kya bura or achha hai, lekin mein aap ko bata du ki nokia 3 ko
aap 16 jun 2017 se offline market se buy kar sakte ho, ji ha yeh offline market
mein 16 jun se hi available hoga.
Nokia 5
Nokia 5 ki baat kare
to yeh phone aap 7 july ka baad se 12,899 INR mein offline stores se buy kar
sakte hai, is phone mein aap ko 5.2 inch. Ki display jo ki full HD hai, OS ki
baat kare to isme Android 7.0 diya gya hai, processer ki baat kare to isme
snapdragn 430 processer diya gya jo ki normal user ke liye to thik h lekin iski
Price ke hisaab yeh kam hai, 13 MP ka rear camera and 8 MP ka front camera hai
jo ki achha hai, iski battery 3000mAh ki hai nokia 3 se to thik hi hai, or iski
ager RAM or Storage ki baat kar to nokia 3 ki tarah hi same hai 2 GB RAM and 16
GB storage, or baaki isme aap ko finger frint scanner mil jata hai jo ki Nokia
3 mein nhi tha to thoda – thoda upgrade nokia 5 baaki nokia 3 jaisa hi hai,
isme bhi NFC support karta hai or yeh bhi sirf offline hi milenga, jo 7 july ke
baad le sakte hai,
Nokia 6
Nokia 6 ki baat kare to yeh 14 july se amazon se le sakte
hai, bilkul yeh online available hai lekin nokia ke baaki phone sirf offline hi
available hai, nokia 6 14 july se amazon se 14,999 INR mein buy kar sakte ha,iski
price mujhe to jayda lagti hai, lekin nokia 6 ke features thode achhe hai lekin
me aapko bata du ki dusri company ke phone kam price mein isse jaya achhe
feature de rahe hai, chaliye to jaan
lete h iske features ke baare mein jaise ki mene bataya iski price 14,999 INR
hai, sabse pehle baat karte h iske processer ki to isme bhi same nokia 5 ki
tarah snapdragn 430 diya hua h jo ki normal user ke liye badiya hai, Ab ager iske OS ki baat kare to isme bhi same
to same nokia 3 and 5 ki tarah Android 7.0 milta hai, iske display size ki baat
kare to isme 5.5 inc ki full HD display di hui hai iske sath 2.5 D gorilla glass
protection bhi diya gya hai jo ki nokia ke 3 , 5 se to achhi hi hai, isme 3 GB
RAM and 32 GB storage mil jaati h jo ki achhi baat hai, baaki camera nokia 5 ki
tarah same h 16 and 8 ka , battery 3000 mAh ki hai, finger frint sanser bhi
isme mil jaata hai, NFC support bhi hai,
To dosto me sab kuchh aap ko bata diya ki isme kya – kya milta
hai dosto nokia ke in teeno phone mein jo khash baat h bo yeh h ki isme NFC ka
support mil raha hai jo ki is price rang ke phone me kam hi dekhne ko milta
hai, baaki ager processer ki baat kare to nokia 3 ka processer bilkul bekar h
or Nokia 5 and 6 mein thik – thak snapdragn 430 ka processer mil jata hai jo ki
normal user ke liye thik hai, or build quailty ki baat kare to build quailty
kaphi achhi dekhne ko mil jaati hai,
Baaki or kuchh bhi kash nhi ki in teeno phone ko buy kiya
jaay, lekin ager aap ko nokia ke phone pasand h or lena chahte h ek smartphone
to aap buy kar sakte, baaki aap kudh
samjhdaar ho,
Thank You Manu
Broadcast par visit karne ke liye
Ager aap mujhse contact
karna chahte h ya phir kuch puchhna/batana chahte h to Comment kare ya phir mujhe aap mail
bhi kar sakte h ya phir chahe to social
media pe bhi mujhse jud sakte h
Aise hi bane rahe hamare sath or hame support kare
Me puri kosis karunga aapke liye achhe se achhe content lane ki
Ager aap ko koi spacial
topic ke baare me janna h to aap
mujhe jarur bataye me poori kosis karuna ki aapko jaisa content chaiye wesa hi
kuch daalu
Aap hame follow
kar sakte h neche diye huye follow links par ja ke
Aap apne friends/family ko bhi bataiye www.manubroadcast.com ke baare me taaki
sabhi technology se judh paaye or
jaan paaye technology ko kareeb se.
Aap hame yaha pe bhi follow
kar sakte hai.
Website – www.manubroadcast.com
Facebook – https://www.facebook.com/Manubroadcast/
Twitter – https://twitter.com/Manubroadcast/
Google plus - https://plus.google.com/u/0/115042508862566417383
Instagram – https://www.instagram.com/manubroadcast/
LinkedIn – https://www.linkedin.com/in/manubroadcast/
Pinterest – www.pinterest.com/manubroadcast
Email id – manubroadcast@hotmail.com
For any enquiry,
suggestions or any complain so leave a comment on comment box
NOTE : ALL THE
IMAGES/PICTURES SHOWN IN BELONGS TO THE RESPECTED OWNERS AND NOT ME..
I AM NOT THE OWNER OF
ANY PICTURES/VIDEO
Thank You J Keep support J
No comments:
Post a Comment
Thanks For Comment